Iss article mein hum ap ko hath aur munh dhonay walay sabun banana ka easy tarka batay gay aur iss tarha kay soap banana ka liye ap ko bohat Danish mandi aur experience ki zarorat hai.
How many types of soap (sabun kitni iqsam ka hotay hain)?
Soap (sabun) 10 iqsam ka hotay hain jin ki tafseel aur banana ka tarika mandrja zail hai;
Simple soap (nahanay ka sabun):
Narial kay oil ko hot kiye bina iss mei “laii” ko dhar bandh kar milatay aur massad sa ghodtay jaiy. jab thick ho jay to scents mila kar achi tarha ghot lein. phir frames mein bhar lein. Best soap tyar ho gya hai.
Ingredients quantity (tadaad ajza):
Narial ka oil: 4kg laii 5 37* bami 5kg
Charbi 6kg bergamot oil 4 tola
Merabeen oil 4 tola
Rose soap:
Berosa ko narial kay oil mein pighla lein. Gulab ka colour paida karnay kay liye aioseen colour water or oil mein chan kar oil mein mila dein. Baqaya oil bhi narial oil mein mila lein. After that “laii” dhar bandh kar daltay aur ghodtay jain. Hard ho jay tou mandrja zail scents mila kar farmes mien bhar dein.
Ingredients quantity (tadaad ajza):
Narial oil: 27 1/2 kg mahvoa oil: 2 1/2 kg
Peanut oil: 2 1/2 kg bairoza white: 2 1/2 kg
Scents quantity :
Rose geranium oil 188 gm tincture mushaq 18 gm
Bergamot oil 188 gm laii 5 37* 25 kg
Orange soap:
Bairoza ko oil mein boil karkay cool method saiy “laii” ko dhar bandh kar milatay aur massad sai ghodtay jay. Thick ho jay tou scents mila kar achi tarha ghodt laiy. Frames mein bhar kar soap (sabun) tyar kar laiy.
Ingredients quantity (tadaad ajza):
Mahvoa oil 29 kg narial oil 27 1/2 kg
Bairoza white 3 1/2 kg laii 5 37* 25 kg
Scents quantity :
Dar chini 17 gm oil of orange peel 150 gm
Oil of Thaim 20 drum
Lux soap (lux sabun):
Pehlay oil mein zink mix karay. cool method saiy “laii” ko dhar bandh kar milatay aur massad sai ghodtay jay. Thick ho jay tou scents mila kar achi tarha ghodt laiy. Frames mein bhar kar soap (sabun) tyar kar laiy.
Ingredients quantity (tadaad ajza):
Narial oil 10 kg mix powder 4 ounce
Zink oxide ½ pound laii 36* bami 5 kg
Yara yara 2 ounce
Life buoy soap (Life buoy sabun):
Khushbu ki jaga carbolic acid shamil karay. Neem garam tarikay yani tamam oils ko mix kar kay garam karna hai aur us mein carbolic acid aur “laii” dalni hai. Red colour karnay ka liye iss mein red colour shamil kar laiy.
Ingredients quantity (tadaad ajza):
Narial oil 10 kg arand oil 21/2 kg
Peanut oil 71/2 kg laii 36* bami 11 kg
Water 1 kg red colour 5 masha
Carbolic acid 11/2 pound karyazot oil 1 ounce
Medicate soap (adviyati sabun):
Kapray dhonay aur nahanay ka sabun kai ilawa awaam ka kaiy aik aisaiy sabuno ki bhi mang hoti hai. Jin ka maqsad jism ki mail matti aur paseena ki badboo dour karnay ka sath sath jisam ki khas bemariyo ko bhi dour karna hota hai. Oils aur castic soda laii kaiy ilawa inn mei different adwiyat manasib miqdar mei mila di jati hain. Aisaiy sabun ap cool method aur hot method kaiy tarikay sa tiyar kar saktay hain.
Campher soap (kafoori sabun):
Narial oil ko achi tarha garam karaiy aur iss mein kafoor ko achi tarha hal karaiy. Laii ko mix kar kay batariq cool method saiy sabun tiyar kar laiy. Laii mein pani mila kar thin kar kaiy sabun banaya jaiy. Yeh amoman white colour mein tiyar hota hai.
Ingredients quantity (tadaad ajza):
Apricaot oil 11/2 kg kafoor 32 gm
Laii 37* bami 750 gm
Benefits of campher soap (kafoori sabun kaiy faiday):
- Yeh sabun garmiyo mein pit ka dano ko khatam karnay.
- Ghantiya kaiy dard kaiy liye akseer kaha jata hai.
Sulfur soap (gandhaq sabun):
Gandhaq ko oil mein pighal janay tak garam kar kaiy hasbe tarik sabun tiyar kar laiy. Colour hasbe mamool shamil kariy.
Ingredients quantity (tadaad ajza):
Apricoat oil 11/2 kg sulfur (ghandaq) 72 gm
Laii 37* bami 750 gm
Benefits of sulfur soap (Gandhaq kaiy sabun kaiy faiday):
- Kharish, phodtay, phinsi aur Chambal ko khatam karnay kaiy liye istamal hota hai.
- Sulfur soap saiy dogs ko nehlaya jata hai.
Carbolic soap (carbolic sabun):
Cool method sa banaya jata hai. Jab kafi thick ho jay tou carbolic acid mila kar is kadar mix karaiy kaiy yak jaan ho jaiy. Carbolic soap mein red colour milaya jata hai.
Ingredients quantity (tadaad ajza):
Apricoat oil 15 kg carbolic acid 925 gm
Laii 38* bami 4 1/2 kg
Benefits of carbolic soap (carbolic sabun kaiy faiday):
- Jildi amraaz jaisaiy kay tar kharish aur phodtay phinsi kay liye bohat mofeed hai.
Neem soap ( neem sabun):
Hot method sa sabun tiyar karaiy.
Ingredients quantity (tadaad ajza):
Apricoat oil 12 kg neem oil 2 kg
Laii 35* bami 7 kg
Benefits of neem soap( neem sabun kaiy faiday):
Yeh sabun bhi jildi amraaz kaiy liye lajawab cheez hai.
Transparent soap:
Fats aur oils ko aag mein pighlaiy. Tab inn mein bairoza peece kar dal daiy. Yeh jab hal ho jaiy tou aik alag bartan mein castic soda aur potash ki laii tiyar kariy. Cool down honay par dhar bandh kar oil mein daltay aur ghodtay jaiy. Jab cool down ho jaiy tou alcohol mein rang aur khushbu hal kar kaiy sabun mein shamil kar daiy aur frames mein bhar kar jama daiy.
Ingredients quantity (tadaad ajza):
Arand oil 4% apricoat oil 5%
Charbi musaffa 8% bairoza 3%
Castic potash 6% castic soda 2%
Water 6% alcohol 10%
How to make shampoo (shampoo banana ka tarika):
Oil ko naram aag par pighlaiy aur laii dal kar hilataiy jaiy. Karahi badhi honi lazmi hai. Shampoo thick ho jaiy tou iss mein glycerin, pisa howa sohaga aur khand mila di jaiy. Baad mein pani mein milar kar hoob hal karaiy yaha tak kaiy sab cheezay yak jaan ho jaiy. Mamooli si hararat daiy aur phir utar kar cool down kar laiy. Colour aur scent dal kar chan laiy. Shampoo tiyar hai.
Ingredients quantity (tadaad ajza):
Apricoat oil 2 kg laii castic potash 28* bami 1.90 kg
Suhaga 2 tola khand 1.20 kg
Glycerin 250 gm water 3.75 kg
Benefits of shampoo (shampoo ka faiday):
- Sir mein mail ko foran dour karta hai.
- Khushki dour karta hai.
- Anti lice hai.